naam bhi nahi

mere wujud ka koi in’aam bhi nahin
ya’ni tere labon pe mera naam bhi nahin

zanjir-e-husn mein hamein bandha gaya hai kyon
hum par to tere ‘ishq ka ilzaam bhi nahin

takte hain farsh-e-nutq se ‘arsh-e-KHayaal ko
muddat hui ki barish-e-ilhaam bhi nahin

میرے وجود کا کوئی انعام بھی نہیں
یعنی ترے لبوں پہ مرا نام بھی نہیں

زنجیر حسن میں ہمیں باندھا گیا ہے کیوں
ہم پر تو تیرے عشق کا الزام بھی نہیں

تکتے ہیں فرش نطق سے عرش خیال کو
مدت ہوئی کہ بارش الہام بھی نہیں

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *